causes of overthinking | overthinking ke karan

Hello Readers,
                         I’m Priya, your fellow traveller in this journey called ‘LIFE’. Aaj me apke sath ek boht hi common problem 'overthinking' ke bare me kuch basics share krungi, jisse shayad har dusra insan struggle kar raha hai.

OVERTHINKING :-

                                    Friends bhagwan ne hum sbko ek boht precious gift diya hai MIND; jiski vajah se hi hum cheejo ko analyze kar ke acche se evaluate kar pate hai. But aksar kuch certain reasons ki vajah se hum kabhi-kabhi bahut jyada sochne lagte hai; jisse hum normally overthinking bolte hai.
                        Actually insan ka kisi particular cheej ke bare me sochna problem nahi hai. Thinking is a Human Nature. Aap bina soche planning kiye koi kam nahi kar sakte. But repeatedly negative things ke bare me sochna apni health ke sath-sath apki life ko bhi spoil krta hai. 
overthinking se kaise bache
overthinking

                        Overthinking ek 'analysis paralysis' ki situation hoti hai. Because isme aap ek paralyzed insan ke jese behave karte ho; jo sirf sochta rehta hai or koi decision na le pane ki vajah se kuch kar nahi pata. Sath hi jyada sochne ki vajah se aap apne hi mind me uss particular cheej ke liye kuch esi negative images create kar lete ho; Jo aksar reality me exist karti hi nahi hai.
                        Iski vajah se ek choti si problem bhi apko pahaad Jesi lagne lagti hai. Or yahi apke dimag ka darr apko emotionally & mentally weak kar deta hai. In short gradually aap apne hi mind me banaye hue darr ya illusion ki vajah se problems ko solve karne me fail ho jate ho. Or fir unse bhagne lagte ho.
                       Agar aap notice karo; toh apni kisi purani problem ke bare me soch kar dekho, Jo ab solve ho chuki hai. Aaj aap analyze kar paoge ki shayad uss waqt hum bevajah hi itna tension le rahe the; uss problem ka solution to bahut easy tha, or shayad hum jyada sochne me time waste nahi karte to or bhi pehle solution mil gaya hota.
CAUSES  of  OVERTHINKING:-   
 Base of Thinking:-  Friends overthinking ka ek main reason soch ka aadhar hai. Aapke sochne ke 2 basis hote hai- 1. Reality  based 2. Beliefs based.  
           Jab bhi aapki thinking reality facts (e.g. Jo bhi aap iss reality world me dekhte ho, feel krte ho etc.) par based hoti hai, uss time aap apne ek clear mind ke sath hote ho. Or ek clear mind ke pass ek particular goal hota hai; Jisme kabhi confusions nahi hote hai. Isse hi hum right thinking bolte hai.
overthinking ke kaaran
base of thinking

           But jab aapki thinking beliefs facts (e.g. Jo hum dusro ki kahi-suni baato se gain karte hai) par based hoti hai, uss time aap ek struggling mind ke sath hote ho, jo humesha problematic situations generate karta hai. Iski vajah se hi hum apne mind me kisi particular point ke upar illusions create karte chale jate hai, jinka reality me koi existence hi nahi hota hai. And isse hi hum wrong thinking kehte hai.
                So  beliefs facts par based; wrong thinking ki yahi repeatedly process, overthinking ka reason hai. 
Accurate Decision:-  jab bhi hum kisi problem ke solution k bare me sochte hai, uss waqt hum sbka focus sabse jyada uss decision ki accuracy ke upar hota hai. Because hum sabko humesha ek perfect solution chaiye hota hai, jisme koi risk na ho.
               Shayad kahin na kahin ye decision accuracy ka point humare khud ke ego-satisfaction ke liye hota hai. Because hum kabhi bhi apne liye hue decisions me wrong prove ni hona chate hai. Yahi point hume continuously ek best solution sochne par majboor kar deta hai.
jyada sochne ke kaaran
ego-satisfaction
      
              But practically best jesa koi solution hota nahi hai. Har ek solution ke apne kuch consequences hote hi hai. So iski vajah se apki overthinking start ho jati hai.
The Perfection:-   Aaj sabko apni life ek perfect well framed form me chaiye. Aap professional ke sath-sath apni personal life bhi well settled banana chate ho. Bina khud perfect bane; duniya ko control karna chate ho. Sabhi kamo ko ek sath uske best level par karna chate ho.
overthinking ke kaaran
The PERFECT is the enemy of the good.

        But hazaro cheejo ko ek sath lekar chalne se aap apne upar ek pressure sa feel krne lagte ho, jo apki performance quality ko lekar hota hai. Because apko har field me best hona hai. Or issii illogical desire ke chalte apke mind me har waqt kuch na kuch chalta hi rehta hai. And yahi overthinking ka reason bhi hai.
·       Ye kuch main reasons hai, jinki vajah se hum overthinking face karte hai. Apne next or iss blog k 2nd part me apko overthinking ke effects and usse overcome hone ke kuch tips btaungi, jinko practice karne se aap iss bimari se humesha ke liye free ho jaoge.
                     So that’s all for today . if you like this information & find it’s worth; then please share and let me know by leaving a text in comment section. To know more about these type of issues, please do subscribe & follow this account.

 THANKS for Reading.


My other blogs:- 1. how to stop overthinking | overthinking se kaise bache
                            2. How to make mind free from Depression 
                            

            
                                  
                                                                                                                                                          
SHARE

Priya Pathak

  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
    Blogger Comment
    Facebook Comment

5 comments:

Shubham soni said...

Nycc blog wtng to see it's next part because i m also suffering from the same problem

riddhima sharma said...

๐Ÿ‘๐Ÿ‘

riddhima sharma said...

๐Ÿ‘

Aayush_music said...

Its very good blog i always read your blog keep it up and i m waiting for more

Aayush_music said...

It is very good blog keep it up