Let go of the past | Regret in life


Hello Readers,
                 I’m Priya, your fellow traveller in this journey called ‘LIFE’. Hum sabko kabhi na kabhi life ke kisi na kisi mod par past me hue kuch failures, mistakes or missed opportunities ka regret hota hi hai. Jo humare mann me khud ke liye hi inferiority complex (heen-bhawana) create kar deti hai. Toh inhi regrets or guilts se recover hone ke liye aaj apke sath kuch information share krungi, jisse aap apne past se bahar aa kar present ko acche se enjoy kar paoge.
Regret – an unhealthy obsession.
                  Jab hum life jeete hain tab hume ye toh pata hota hai ki humare liye kya sahi hai or vo hume kese execute karna hai, but fir bhi jaane-anjaane humse ya kisi or person se mistakes ho hi jati hai, jiski vajah se hume uss kaam ya relationship me failures face karne hi padte hai.

past mistakes
Broken Relationship

                Starting me toh hum uss kaam ya relation ke kisi particular purpose ko achieve karne ke bare me hi sochte hai, iska matlab starting me toh humara uss kaam ya relation ko lekar intention positive hi hota hai,  but jab humara vo purpose poora nahi ho pata hai; toh hum usse apni mistakes ka label de dete hai.
                 ye failure wala phase toh insan fir bhi handle kar leta hai. But aage life me kafi ese turning point aate hain; jab apko apni past ki mistakes ka ehsaas hota hai; or tab apko apni galtiyo ka afsos hota hai. Past me ki hui inhi mistakes ke bare me bar-bar soch kar dukhi hone ko or uss failure ke liye khud ko ya dusro ko blame karne ko hi regret karna kehte hai.
                 Iss regret ke chalte hum khud ko ya dusro ko itna jyada criticize karne lagte hai; ki iska effects humari physical health ke sath-sath mental health par bhi padne lagta hai. isse humari immunity or hormones to affected hote hi hai, sath hi ye apki life ki sukh-shaanti ko bhi khatam kar deta hai.
                Regret me hone wali yahi negative overthinking insan ko depression, anxiety or stress me le jaati hai. jisse aap present me ho kar bhi apne past life me hi trapped ho kar reh jaate ho. Past me hue events ko toh aap recorrect nahi kar sakte, but regret ki vajah se aap apne present opportunities ko bhi acche se use nahi kar paate ho. Jisse apki better future life ke chances or bhi decrease hone lagte hai.
past mistakes regret
troubled personality

               So present time me apne mind ko poori efficiency ke sath use karne ke liye; sabse pehle apka iss past life ke regretting obsession se bahar aana bahut important hai. Otherwise ye regretting obsession apka confidence, focus, productivity sab kuch khatam kar dega.
Right direction for regret.
               Apne regret ko ek sahi direction me le jakar aap bahut kuch naya seekh sakte ho. ye experience apko future life me kafi helpful bhi honge. Iss right direction me jaane ke liye apko kuch steps follow karne honge.
Acceptance :-
     Sabse phle apko uss failure ko accept karna chaiye & uski responsibity bhi leni chaiye. Apko ye smajhna hoga ki iss duniya me kuch bhi perfect nahi hai. aap akele hi nahi ho jisse mistakes hoti hai. har insan se uski situation or surroundings ke according galtiya hoti hi hai.
let go of the past
PERFECTION is a MYTH

      Or ye mistakes karne ko koi age bhi justify nahi karti hai. ye ek human nature hai. koi bhi insan iss life ko jeene ke tareeke; apni maa ke pet se hi seekh kar nahi aata hai. ye sab knowledge vo iss life me esi mistakes kar ke hi gain karta hai.
     Ab iska matlab ye nahi hai ki aap bar-bar life me har time bas mistakes hi karte raho. Isse toh aap poori tarah corrupt ho jaoge; or apni life spoil kar loge. Kuch knowledge apko dusro ke experience se bhi leni chaiye.
     Chanakya neeti me bhi likha hai ki; agar aap har baat ka experience lene ke liye khud par ese experiments karne lage; toh yeh life apke liye bahut choti reh jayegi. Or isse aap khud ke liye problems bhi create kar loge. E.g.:- apko phle se pata hai ki aag me hath dalne se aap jaloge hi, fir bhi agar aap esa kar rahe ho toh aap stupid hi kehlaoge. So accha yahi hai ki aap dusro ki mistakes se bhi kuch seekho.
      Apko ye baat samajhni hogi ki agar apne life me kuch bura experience kiya bhi hai; toh aap uss event ko apne mind se permanently erase nahi kar sakte ho. So esa sochna ki aap past ko completely bhula doge, totally illogical & myth hai. Aap bas uss mistake se seekh le kar khud ko recover kar sakte ho, but usse bhula nahi sakte.
positive direction for regret
Things can't be Undone

     Aap khud sochiye iss duniya me konsi esi cheej hai, jo perfect hai – koi nahi. Perfection ke close jo ki machines hain, even unme bhi kafi bar faults aa jate hai. Jab hume ye pata hai ki iss planet par kuch bhi perfect hai hi nahi; toh hum kyu iss illusion me jeete hai; ki humse ya dusro se kabhi koi mistake ho hi nahi sakti.
     Apko ye baat honestly accept karni chaiye ki- apke andar kamiya thi, hai or rahengi. And agar apse mistake hui or apko bura lag raha hai toh- it’s ok. Apko bura lagna bhi chaiye, varna aap apni mistakes se seekhoge kese.
using regret in positive direction
failure teaches success

      Because ye apke failures hi hai; jo apko kuch seekhne ki opportunity dete hai. Humesha sirf success hi milne se aap life ke important lessons kabhi nahi seekh paoge. Ese me future me apke koi or badi mistake karne ke chances jyada ho jaate hain.

Analysis :-

       Ab jab aap apni mistakes ko accept kar chuke hoge; toh apke liye uss failure ke root-cause ke bare me janna bahut important hai. Aksar esa hota hai ki log apne acche time ko toh humesha experience karna chahte hai, but apne bure time ko face karne se darte hai. 
      kahin na kahin ye bura time unke faults ka hi reflection hota hai; jisse vo kbhi ni dekhna chahte. Because unka ego kabhi bhi unhe apni kamiyo ko accept karne ki permission nahi deta hai.
analysis about regret

     But uss failure ko thik se analyze na karne se; vo baate humesha ke liye humare mann me ghar kar jati hai. Or gradually vo ek ghaav bann kar apko lifetime ke liye pain or guilt feel karwati hai.
     So accha hoga ki aap apni ya dusro ki kamiyo ko chupaye nahi. Baato ko mann me rakhne ki jagah unhe clear kare. Isse apko uss reason ke bare me pata lagega; jiski vajah se aap uss particular kaam ya relationship me unsuccessful hue ho. isse aap future me vahi same reason repeat kar ke mistake nahi karoge.

Make-up for the loss:-

      Kabhi-kabhi humari mistakes ke consequences itne jyada kharab hote hai; ki usse humare relations bhi ending point par aa jate hai. But agar uss relation ko sahi karne ke thode bhi chances ho; toh apko ek bar usse vapas thik karne ka try karna hi chaiye.
        Because life me acche relations banane ke mauke bahut mushkil se milte hai. Jaruri nahi ki har time situation apke favor me ho. So kabhi kisi ki galtiyo ki vajah se hi relation end nahi karna chaiye.
        Aaj ki generation ke sath yahi sabse badi problem hai; ki hum log sabse pehle apne relations par give-up karte hai. Shayad ab humare liye relations bahut cheap value wali list me aa chuke hain. But ye relations hi hai jinse hume humesha support milta hai.
forgiving is miracle
Relations support

       Toh kuch acche relations maintain karne ke liye humesha kuch mistakes ke liye space to rakhni hi chaiye. Jiss tarah aap apne favor me sochte ho ki apse jaane-anjanne me galti ho sakti hai, vese dusro ke liye bhi mistakes ki margin rakhni chaiye.
       Unse bhi apki tarah hi mistakes ho sakti hai. But gusse me kabhi bhi relation khatam nahi karne chaiye. Iske liye khud ko or dusro ko maaf karna seekhe. Because maaf karke aap khud ko or samne wale ko uss guilt or regret se release kar dete ho. Jo ek better health or satisfied life ke liye bahut important hai.

Learning:-

       Life me jab bhi aap koi accha kaam karte ho; toh humesha uss baat se chipke nahi rehna chaiye, because ye apke andar ego create karti hai. Vahin dusri taraf agar apse kabhi koi mistake ho jaye; toh usse sirf bhulna nahi hai, balki usse seekh leni hai; jisse apse vo same mistake dubara na ho.
     Because apse mistake hona ye galat nahi hai. Balki usse kuch na seekhna; ya seekh ke bhi dubara same mistake karna galat hai. fir bhi agar apke mind me past se related koi  thought aaye; toh usse lekar ye nahi sochna hai; ki apne esa kyu kiya, ya usse esa nahi karna chaiye tha. Because esa sochne se vo regret apke life se kabhi nahi jayega.
don't regret just learn from it
don't regret the past, just learn from it

     Apko isse positively lekar sochna chaiye; ki thik hai, mistakes sabse hoti hai & sabse best part ye hai; ki apko kuch naya experience karne  ka mauka mila. And apne sirf galti hi nahi ki, usse bahut kuch naya seekha bhi hai. So ab aap phle se jyada mature & strong ho.
     Ho sakta hai agar abi ye mistake nahi hoti; toh shayad aap future me isse or badi koi mistake karte. But ab jab apke pas iss situation se related experiences hai; toh ab aap future me iske jesi problems ko acche se handle kar paoge.
     Esa sochne se apko kabhi bhi uss past experience ko lekar regret nahi hoga. Balki aap phle se jyada confident & focused feel karoge. Because iss duniya me apke liye apse jyada koi bhi cheej badi nahi hai, yha tak ki apki mistakes bhi nahi.
live in present moment
live in present moment

     And sacchayi toh ye hai ki apke aas-pas ke log bhi ye janne me interested nahi hote hai; ki aap kitne regret or pain me ho. So apni precious life ko kisi bhi faltu ke regret me waste nahi kare. Iss time apke liye sabse jyada kuch important task hai; toh vo hai apne apko khush rakhna & apni life ko completely enjoy karna.

In short,
भूल करना प्रकृति है|
मान लेना संस्कृति है|
सुधार लेना प्रगति है|
 
So that’s all for today. If you like this post; please let me know by leaving a comment, & I’d really love it; if you can share it. I hope you found this information helpful. to know more about these kinda information, please subscribe & follow this blog account.

THANKS for Reading.

                            2. Importance of spirituality | adhyatm ka mahatva
                            3. how to overcome loneliness | akelepan se kaise bache
                            4. Expectation hurts a lot | Dukh ka kaaran 
                 
                


SHARE

Priya Pathak

  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
    Blogger Comment
    Facebook Comment

1 comments:

Aayush_music said...

Nice though... Keep it up piyu