how to stop overthinking | overthinking se kaise bache


Hello Readers,

                      I’m Priya, your fellow traveller in this journey called ‘LIFE’. Iss blog me apke liye overthinking se losses & usse overcoming ke kuch informative facts hai, jo ki apki overthinking ki habit ko rokne me helpful honge.

LOSSES  of  OVERTHINKING:-


NEGATIVE THINKING:-  


                        Overthinking ki habit se apki soch gradually negative hoti chali jati hai. Iski vajah se aapko kisi bhi cheej me kuch bhi positive nazar nahi aata hai. Aap har baat ke negative aspects par hi jyada dhyan dete ho. Jisse apki productivity bhi affected hoti hai. Iske sath hi aap apne aas-pas ke environment ko bhi negative banate ho. Jisse dusre logo par bhi iska bura asar padta hai.
overthinking ke nuksaan
negative thinking


FAR  from  REALITY :-   


                               Overthiking se insan apne hi banaye hue imagination world me rehne lag jata hai. Kisi bhi problem se related apne mind me itni images phle se hi create kar leta hai, jo shayad reality me hoti bhi nahi hai (e.g.:- agar usne esa kiya toh me vesa karunga, agar usne esa bola toh me bhi usse ye bolunga etc.).

 Iss vajah se jo actual problem hai, jiska solution easy hota hai, usse aap overthinking kar ke apne mind me bahut complicated bana lete hai. Isse aap casual-si baato par over-react karne lagte hai. And iss sab me kahin na kahin aap real world se dur hone lagte hai.  
overthinking ke nuksan
stuck in own thoughts


 MEDICAL  EFFECTS:-     


                                    Overthinking se apki body me bhi kafi health related issues create hone lagte hai. Iski vajah se apka I.Q. level bhi decrease hone lagta hai, jisse apka creativity level bhi girne lagta hai. Overthinking ki situation me brain ke frontal lobe ( brain ka vo part jo humans ki personality or unki communicate karne ki ability ko control karta hai)  se cortisol enzyme release hone se neurons ki efficiency bhi decrease hone lagti hai & immune system bhi affected hota hai. Isse anxiety, depression, stress, mood-swings jese mental health problems hone lagte hai.

                         Brain ke sath-sath iska bura asar digestive system, heart, skin, sleeping hours etc. par bhi padta hai. Jisse overall body ka immune system weak hone se bahut-si diseases humare andar generate hone lagti hai.

 Iss mentally or physically tired situation me aap apne relations me balance nahi bana paate ho, jisse apki social life bhi khatam hone lagti hai. Iss vajah se aap or bhi akele rehne lagte ho, and continuously overthinking se ek casual si baat bhi aap par bahut gehra asar daal deti hai. And kbhi-kbhi log inse bachne ke liye nashe ki lat ke bhi shikaar ho jate hai.
overthinking ke nuksan
all alone 


PREVENTING &  OVERCOMING:- 


·       Friends, pehli baat aap apne mind me clear kar le, ki apki life ki problems solve karne ke liye koi nahi aane wala; na hi koi miracle hone wala hai. Agar aap kisi baat se pareshan ho to uske liye apko hi kaam karna padega. Or jab tak aap hi solution nikalna nahi chahoge; koi bhi apki help nahi kar sakta; yha tak ki God bhi nahi. Vo kehte hai na- “God help those, who help themselves”. So ye apko decide karna hai ki aap apni problems ko solve kar ke ek better mental health ke sath jeena chate ho, ya zindagi bhar apni problems ke peeche rona chahte ho.
overthinking se bachne ke upay
choice is all yours


·       2nd, apko present me jeena start karna hoga. Friends, past me hui kisi baat ko hum change nahi kar sakte, jo ho gaya vo ho gaya. And future kisi ne dekha nahi hai. Toh hume kyu kisi baat ka regret hai or kyu hum kuch naya karne se darte hai? Apko jarurat hai aaj chote-chote risk lene ki; Isse apka kisi kaam ko karne me confidence build-up hoga. Isse aap present me focus kar paoge.

·       3rd, apko life me apni kuch limits and priorities decide karni hongi. Because aap ek time me sab kuch nahi kar sakte ho. Remember – “Nothing is Perfect in this world”. Apko ek specific kaam karne ke liye dusre kaam ko delay ya cancel karna hi padega. So ye apko decide karna hai ki iss time apke liye sabse jyada kya important hai. Because life me aaj decide ki hui yahi kuch priorities se hi apka aane wala future bhi frame hoga. So ek confusion-less mind, focused goal & better future ke liye apko apni priorities clear karni hi hongi.
overthinking se kaise bache
set your priorities


·       4th, friends thoughts ko completely rokna possible nahi hai. And kahin na kahin ye baat ek dead mind ka sign bhi hai, jo hume nahi karna hai. Hume ek healthy & active mind chaiye. Iske liye apko apne mind me aa rahe thoughts se struggle karna band karna hoga.

 E.g.:- jab aap kahin bahar hote ho to kya har raste chalte insan se ladne lag jate ho? Nahi naa. Kyuki hume pata hai ese kisi se bhi bematlab ladne ka koi fayda nahi hai, & nuksaan bahut sare hai. Yahi same kaam apko apne mind me aa rahe faltu ke thoughts ke sath bhi karna hai. Unke sath involve hokar unse ladna nahi hai. Simply let them come & go. That’s it.

·       Last but not the least, apko life me hue bad experiences ke liye khud ko or sath hi dusro ko bhi maaf karna seekhna hoga. Esa bahut bar hota hai jab past me hue kisi incident ki vajah se hum bahut jyada emotinally suffocation feel karne lagte hai.

             And uss ek suffocating feeling ki vajah se hum apne present ke relations ko bhi honest value ni de paate hai. Friends, jab tak aap andar se khush nahi ho na, tab tak aap apne aas pas ke logo ko bhi khush nahi rakh sakte. 

            So khud andar se khush hone ke liye apko uss ek suffocating emotion se khud ko aazad karne ki jarurat hai. Iske liye apko uss experience se related apni mistakes ko accept karna hoga. Then khud ko or dusro ko kosna band karna hoga. Apko khud se or uss dusre person se maafi mangni hogi.

            Maybe vo dusra person apko maaf na kare, but it’s totally fine. Unka apko maaf karna apke control me nahi hai. But jab aap apne mann me uss incident ke liye har person ko n khud ko maaf kar doge na, tab aap uss suffocation bhare mann se bahar aa jaoge. 
overthinking se bachne ke upay
forgiveness miracle


           Because jab bhi aap baato ko individually ya mentally clear nahi karte ho, toh kahin na kahin vo dheere-dheere apke mind me  collect ho kar toxin ka kaam karne lagti hai. Jo ki mental health ke liye bilkul bhi accha nahi hai. So accha hoga ki aap baato ko clear karna seekho. 
           Iske alawa aap meditation karne ki habit daale, jisse apka concentration level increase hoga. And sath hi aap kisi na kisi activity me khud ko busy rakhe, Jo bhi apko karna pasand ho. Khud se accha sochne ki habit daale; e.g.:- sab kuch accha ho raha hai, aage bhi sab accha hi hoga. And life ki reality ko samje, ki problems sabke sath hai. Bas apko khud ko improve karte rehna hai. 

           Jaisa mene last blog me bhi btaya tha, ki god ne hume ek bahut precious gift ‘mind’ diya hai. Jisse hum sbse important kam karte hai, vo hai thinking. Yahi vo baat hai jo hume iss earth pe baki creatures se superior banati hai. But humne iss gift ka galat or over use kar ke isse apne liye ek curse bana liya hai. 

           I hope mere btaye ye kuch basics aapko overthinking ko rokne me helpful honge. And I’m sure guys aap apne jeene ke tareeke me thoda changes la kar apni life ko or behtar bana sakte ho.

   So that’s all for today. If you like this information & find it’s worth; then please comment & share. To know more about these type of information, please subscribe & follow my blog account.



THANKS for Reading. 

                             2. How to make mind free from Depression 
                             3. A Modification - We all need.                                                                                                     
SHARE

Priya Pathak

  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments: