Importance of spirituality | adhyatm ka mahatva


Hello Readers,
                       I’m Priya;  your fellow traveller in this journey called ‘LIFE’. Aaj iss post me apke sath spirituality or iski humari life me importance ke bare me kuch logical facts share karungi. Jinhe apnakar aap ek meaningful, peaceful, successful & satisfied life jee paoge.

What is Spirituality?
                      Aksar log apne fayde ke according kuch baato ke sahi mayne (meaning) hi badal dete hain. Vhi dusri taraf kuch logo ko poori knowledge na hone ki vajah se, vo baato ke sahi matlab samajh ni paate hain. Spirituality ke case me bhi kuch esa hi hai. Jyadatar log spirituality ka matlab satsang, puja-paath, meditation etc se lete hain; but reality isse bahut alag or vyapak (wide-ranged) hai & iske bare me hume pata hona hi chaiye.
                      Normal words me kaha jaye toh spirituality ka matlab hai – Spirit’s Personality. Yeh ek tarah ki practice hai jisme aapki har waqt iss fact ke liye consciousness bani rehti hai ki; outer world me apki jo bhi identity ho but reality me aap sab ek pure & peaceful soul hain. And deeply dekha jaye toh yahi jeevan ka sach (truth of life) bhi hai.
adhyatm ka mahatva
personality of spirit 

                      Spirituality koi ghante bhar ka bhajan-keertan nahi hai, balki khud ke existence ko deeply janna hai. Basically yeh ek type ki awareness hai; jo hume life me apni sabhi logical & illogical needs & desires ko differentiate karne me help karti hai. Aksar log sochte hain ki spirituality ka matlab apne desires, comforts  & ambitions ko chod dena or monk lifestyle ko apna lena hai. Jabki yeh ek dum jhoothe concepts hain. Bhagwan Shri Krishna ne toh swayam Geeta me kaha hai ki mujse judne ke liye tume kisi bhi bandhan me padne ki jarurat nahi hai. Tume jese accha lage, tum jesi bhi situation me ho, vese hi mujse jude reh skate ho. 
                      Reality me spirituality apke mind ko heart or soul se connect karne ka ek accha tareeka hai. Bahut se logo ka ye misconception hota hai ki spirituality ke liye unhe pura time kisi bhagwaan ko dena hoga. But esa nahi hai. Aaj kal toh logo ke pass vese hi time ki bahut kami hai. Isme spirituality apko time ko ek behtar tareeke se manage karne me help karti hai.
                     Spirituality ek esi awareness practice hai jo apke mind ko shaant rakhti hai . Jiski vajah se apka mind or bhi effective or behtar tareeke se kaam kar pata hai or sahi decision le pata hai.

Why we need Spirituality in our life?
                     Hum koi bhi kaam apni life me bina purpose ya reason ke nahi karte hain. Even kisi bhi cheej ko use karne se pehle bhi hum khud ko uski utilities ke bare me acche se informed kar lete hai. Jisse hum uss cheej ka sahi or acche tareeke se pura use kar paye.
                     But aksar jeevan ki bhaag-daud ke chalte hum uss ek main cheej ke purpose or utilities ko janne ke bare me bhul hi jate hain, vo hai apki ‘Life’. simply bolu toh aap apni poori life ka use to kar lete ho, but apko uske actual utilities ke bare me pata hi nahi hota. And bina purpose jaane kisi cheej ko use karne ke kya nuksaan ho sakte hain, ye to aap sab acche se jante hi honge.
                     Yeh bilkul vesa hi hota hai jese kisi chote bacche ke hath me mobile phone de diya jaye. Vo baccha uss phone ke main use ke alawa sab kuch uss phone ke sath karta hai. Bss nahi kar pata hai to vo hai – baat karna, jiske liye hum actually phone ka use karte hain. Esa isliye hota hai because vo baccha phone ki actual utility se anjaan hota hai.
                     And yahi same bacche ki phone wali situation hum apni life ke sath karte hain. Humne apne life ke purpose apne matlab ke according hi decide kar liye hain. Hum outer physical world se bas itna hi matlab rakhte hain ki, bas humare kam theek se hote rahe or kabhi koi problem na aaye. Kabhi ye janne ki koshish hi nahi karte ki hume jo ye life mili hai; uska real purpose kya ho sakta hai. Humans ki jagah hum kuch or bhi to ho sakte the.
                     But fir bhi creator ne hume insan bnaya hai; toh uske peeche kuch to motive hoga. Par hum hain ki bina life ka purpose jaane ek meaningless life jeete rehte hain. And iss tarah bina purpose jaane meaningless life jeene se aap humesha dukhi hi rahoge or kabhi bhi apni life ka sahi or actual use nahi kar paoge.
adhyatm ka mahatva
reason behind spirituality

                     So spirituality hi ek esa tareeka hai jiske through aap apni life ke actual purpose ko jaan sakte ho. jisse aap apni life ka pura or sahi tareeke se use kar paoge. Spirituality hi vo medium hai jo apko life jeene ke sahi tareeke ko janne me help karti hai, uss purpose ke bare me btati hai jiske liye apko ye human life mili hai. In sab baato se apko ye toh pata chal hi gaya hoga ki; spirituality ki apki life me kya or kitni importance hai.

How does Spirituality work?
                     Ek insan ko apni poor life me bahut se alag-alag character play karne hote Hain. e.g. kabhi baccha ban kar toh kabhi parents ban kar, kabhi employee toh kabhi boss ban kar, kabhi friend toh kabhi life partner ban kar etc. life me humare relations ki position humesha change hoti rehti hai. Kabhi hum kisi se junior hote hain; toh kabhi senior.
                    Or kisi person ke sath humara yeh behavior bhi issii acquired position par based hota hai. Hum life me bnayi hui apni false identity ke according hi dusro se baat karne ka tareeka choose karte hain. Koi humse position me chota ho toh humare baat karne ka tareeka kuch or hota hai. And vahin agar koi humse badi position wala insan ho toh humare baat karne ka tareeka ek dum change ho jata hai.
                     Iss false identity ke chalte hum logo me differences create karne lagte hain. Alag-alag logo ke sath hum behaviour me partiality karne lagte hain. Jiski vajah se logo me anger, jealousy jese bahut-se negative emotions develop hone lagte hain. Or sath hi iss vajah se humare relations bhi weak ho jate hain.
                     Iss problem ko aap spirituality ke through handle kar sakte ho. Yeh toh aap sab jante hi honge ki aatma paramatma ka hi ansh hai (soul is a part of God). And spirituality me bhi hum khud ko ek pure & peaceful soul hi consider karte hain. Iska matlab hai ki apke andar bhi uss creator ya God ka kuch hissa hai.
                    Spirituality ke point of view se aap khud ko or baki sbko ek soul ki identity dete ho. Iss situation me aap kisi bhi person ko uski outer world ki false identity ki jagah ek pure & peaceful soul ki form me dekhte ho. Toh ese me apke liye har insan same hota hai. Ab ap sabhi ko equally treat karte ho, sabse pyar or respect se baat karte ho. And issii point par apke sare differences bhi  apne aap khatam ho jate hain. Or apke relations bhi pehle se jyada strong hote hain.
                    Spirituality me apka soul to soul interaction hota hai. Isme aap logo ki acquired quality ki jagah original quality se connect ho rahe hote ho jo ki overall hai - ek pure & peaceful soul.
                    Aksar humse yahi galti hoti hai ki hum kisi or cheej ko apni identity bana lete hain. E.g. agar mittii ka bartan mittii se alag identity banana chahe; toh yeh hume bilkul nonsense or impossible sa lagta hai. Jabki hum khud bhi apne sath yahi kar rahe hote hai.
                    Jiska (creator or God ka)  hissa humare andar hai hum usse hi bhul jaate hain. Agar hum bhi usse alag identity banana chahe toh hume bhi kabhi success nahi milegi. Jiski vajah se humara existence hai; hume usse janna, samajhna or accept karna chaiye. And yeh sab spiritual practice se hi possible hai.
                    Yeh baat toh aap jante hi hain ki 10 sir wale Raavan ko bhi marne ke liye uske ek hi point par vaar karna kaafi tha. Ussii tarah apki life me bhi ek hi point hai; jiske khatam hone se apki baki ki problems automatically khatam ho jayengi, vo hai – body consciousness. Jis din aap sab apni body ki fake identity ko side kar ke real pure soul wali identity ko accept kar loge, uss din apke bhi anger, envy, jealousy jese kafi saare problems khatam ho jayenge.
adhyatm ka mahatva
awakening of self-consciousness 

                   Esi situation me na aap kisi ke upar haavi honge or na kisi ke power se affected honge. Iske liye aap poore din me khud ko yaad dilaye ki – I’m a pure & peaceful soul. Ab apka har bol, soch or kaam sabhi pure honge. Apki thinking apne aap filter and clean ho jayegi.
                   Ek bar aap khud yeh samajh loge ki aap kon ho, kisse ho, kyu ho… toh dusre logo or iss duniya ko bhi samajhne me apko koi dikkat nahi aayegi. And gradually aap uss supreme power ko bhi samajh paoge; jiske bare me hum sabne bahut kuch suna, dekha or padha hai. Sath hi iss self-thinking se apko iss life ke purpose & mysteries ko samajhna or bhi easy lagne lagega. 
                   In short, jab apke andar bhi uss creator or God ka ek hissa hai; toh aap uss hisse ki bhi respect karna seekhe. Uski life me acquired position ke basis pe usse galat behave na kare. Jese aap bhagwan ki respect karte hain; toh uske bnaye insan or baki creatures ki bhi respect kare. Because unme bhi uss param aatma ka ek hissa aatma hai. Agar hum uske banaye insan ko dukhi karenge; toh indirectly hum uss creator ko hi dukhi kar rahe hain, fir chahe aap kitni bhi prayers karte ho ya kitna bhi temples jate ho, sab waste hai. Jab hum khud me or dusro me bhi uss God ki vahi ek image dekhenge toh hume kabhi negative phases ka samna nahi karna padega. Balki apki life pehle se jyada successful, satisfied & peaceful hogi.
      So that’s all for today. If you like this post, then I’d really love it if you can share it. I hope you found this information helpful. to know more about these type of information, please subscribe & follow this blog account. 

THANKS for Reading


                            2. Expectation hurts a lot | Dukh ka kaaran
                            3. how to stop overthinking | overthinking se kaise bache
                                 4. causes of overthinking | overthinking ke karan
SHARE

Priya Pathak

  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments: