how to overcome loneliness | akelepan se kaise bache


Hello Readers,
                       I’m Priya;  your fellow traveller in this journey called ‘LIFE’.  Har insan apni life me kabhi na kabhi akelepan ko experience karta hi hai and kisi ke mann me iss akelepan ki feeling ka aana natural hai. But sahi time par sahi tareeke se isse na samjha jaye; toh ye depression bhi create kar sakta hai. So aaj iss post me akelepan ko acche se samajhne ke or khush rehne ke kuch easy methods share karungi.

What is loneliness:-                                                                               Akelepan ka matlab akele rehna nahi; balki hazaro ki bheed me bhi khud ko akela feel karna hai. Akelepan me insan khud ko unwanted, empty or unimportant  feel karne lagta hai. Ese insan dusre logo ke sath relations banane me bahut uncomfortable feel karte hai. Sath hi unki apni insecurity levels bhi kafi increase ho jate hain; Jo unhe socialize hone se rokti Hain.

akelapan
Alone in the crowd

Difference b/w  Loneliness &  Being Alone:-

                       Akelapan or akela hona dono states ek dum different hain. Akele hone me insan ki apni iccha ya koi reason hota hai. Yeh ek positive experience ho sakta hai. Isme insan apni marji se kuch time ke liye logo se dur ekant me rehta hai.
                     Vahin dusri taraf akelepan ko feel karne ke liye insan ko akele hone ki need nahi hoti. Isse vo crowded places me bhi feel kar sakta hai. Isme insan ko apni identity ke khatam hone ki feeling aane lagti hai. Physically ho na ho; par emotionally vo dusre logo se separated bhi ho jata hai.

Causes of loneliness:-
                       Hum sabme ek bahut gandi aadat hoti hai jo hum humesha se follow karte aaye hain vo hai – to ask. Humare sath koi bhi problem ho; koi bhi kami ho; hum humesha uska solution bahar ki duniya ya dusre logo me search karte hai. Apne har sukh dukh ka karan hum bahar ke logo ko bana lete hai. Koi humare sath hai toh hum khush hain; vo nahi hai to hum akele hai, dukhi hai. Agar hume koi dukh hai; toh vo bhi share karne ke liye humare sath koi hona hi chaiye.
akelepan ke karan
to ask for support everytime 

                       Basically hum apne hi emotions ko feel karne ke liye humesha dusro ka sahara lete hai. Hume har waqt koi na koi apne sath chaiye hi hota hai. Shayad hum kabhi akele hona hi nahi chahte. Or kahin na kahin ye akele hone ka dar hi akelepan ka main rootcause hai. Because bahar ke ye temporary helps apko kabhi bhi permanent peace or satisfaction nahi de sakti. Balki shayad unke upar bani hui apki ye dependency apko or bhi weak bana deti hai.

Effects  of  Loneliness:-
                        Vese toh akela feel karna ek healthy emotion hai or reality me kuch fix time ke liye akele rehna beneficial bhi ho sakta hai. Because esi situation me aap duniya se alag khud ke liye kuch time de rahe hote ho. And khud ko samajhne ke liye akele me self-thinking karna sahi bhi hai. Isse apko apni inner powers  & potential ko janne me help hoti hai.
                         But akelepan ka long time tak ek deep level par experience harmful ho sakta hai. Because isse insan ke mann me insecurities, disappointment, rejection, frustration, stress, anger jesi negative feelings grow hone lagti hai; Jo insan ko mentally weak bana deti hai. 
                        Ye situation affected person ko healthy relations banana se & lifestyle ko improve karne se rokti hai. Ese me insan logo se contact rakhne se dur bhagta hai. Iss vajah se vo apna confidence bhi khone lagta hai. Sath hi uske mann me ese bahut se thoughts bhi aane lagte hai ki; shayad usme hi koi kami hai, ya fir vo hi kisi ke pyar ke layak nahi hai etc.

                        Iss overthinking se uss person ke liye ye situation or bhi jyada painful & unbearable ho jati hai. Ye akelapan or bhi serious hone par stress, depression, insomnia, heart disease, cancer, anxiety jesi bimariyo ka reason bhi ban sakta hai. 

Overcoming  of  Loneliness:-
  •                                        Sabse pehle toh apko ye samajhna hoga ki akelapan ek mental state hai; jo direct humare thoughts se regulate hoti hai. Aap jitna jaldi apni thinking ko positive karenge, utni jaldi aap akelepan se bahar aa payenge.                                     2nd, apko apni life ki emptiness ko bharne ki jarurat nahi hai. Yeh apne aap me hi complete hai. Yahi humara nature hai. Isse bhagna ya struggle nahi karna hai, balki isse samajhna hai or iske sath jeena hai.
  •           Because kabhi-kabhi aap iss khalipan ko bharne ke liye har kuch karne ko ready hote ho. or iss har kuch karne ke order me kabhi-kabhi aap galat activities me indulge ho jate ho. jisse ye apka khalipan ya akelapan dur karne ki jagah apke liye or problems create kar deta hai. So iss loneliness ke liye apka aware hona bahut jaruri hai jisse aap jane-anjane me apne liye koi or difficulties na paida kar le.
  •           3rd , apko to ask wali habit ko stop asking me change karna hoga. Iske liye apko  financially independent hone ke sath-sath; khud ko mentally or emotionally bhi independent banane ki jarurat hai. E.g.:- aap ek baat sochiye, kya aap khud ke liye poore nahi ho, apko kyu humesha khud ke hi emotions feel karne ke liye dusro ki jarurat hoti hai, kyu hum apni khushi or dukh ka reason kisi or insan ko bana lete hai?
                     Apko ye baat samajhni chaiye ki bahar ke ye temporary supports apko long time ke liye help nahi kar payenge. Apke ye friends ya relations apke sath humesha ke liye nahi rehne wale hai. Aaj vo apke sath hai toh aap khush ho; kal sath nahi honge to dukhi ho jaoge; or fir vapas se ek new relation or support system search karne me lag jaoge. Toh ese temporary solutions se accha hai ki; aap dusre logo ki jagah khud ke upar apni reliability banaye.
akelepan se kaise bache

  •                     Agar koi humesha ke liye aapke sath hone wala hai to vo aap khud ho. Apko ye baat accept karni chaiye ki; aap khud ke liye ek dum perfect ho. apko bahar khushiyaan dhudne ki jarurat nahi hai, balki aap khud khushiyon ka ek resource ho. apko khush hone ke liye kisi ke hone, na hone ki jarurat nahi hai. Aap khud apne liye ek complete package ho jo apne saare emotions khud feel kar sakta hai & apne kiye hue har kaam ki responsibility bhi le sakta hai.  
  •                    Isse aap logo ke upar bani hui apni emotional dependency ko khatam kar paoge. Or jab aap emotionally & financially independent ho jaoge; toh apka ye akelepan ka dar bhi khatam ho jayega. Jisse aap logo ke sath or unke bina bhi dono hi situations me khush reh paoge or kabhi bhi khud ko akela feel nahi karoge. Sath hi apne aas-pas ke logo ko bhi khush rakh paoge. 

  
akelepan dur karne ke upay
independent person
              
  In sabhi baato ke alawa kuch esi choti-choti activities hain; jinhe apne routine me laane se aap akelepan se dur reh payenge:-
  •       Love yourself.
  •          Do what you like to do.
  •          Associate yourself with social works.
  •          Connect with nature.
  •           Laughter & music is the remedy of loneliness.
  •          Spend a good time with your family members.
  •          Make pets your companion. 
  •           Be in touch with the help of social media.
  •           Keep yourself away from narcotics.
  •          Find out the reason of your loneliness.

In short, akelapan feel karna normal hai. But sahi time par isse bahar nikalne ka tareeka na samaj aane par ye feeling hume depression me le jati hai. Ye situation kisi bhi age ka person face kar sakta hai. Isse recover hone ke liye awareness or positive thinking ki jarurat hoti hai.
                 So that’s all for today. If you like this post, then I’d really love it if you can share it. I hope you found this information helpful. To know more about these type of information, please subscribe & follow this blog account.

THANKS for Reading.

 My other blogs:- 1. Expectation hurts a lot | Dukh ka kaaran                      
                             2. how to stop overthinking | overthinking se kaise bache
                             3. causes of overthinking | overthinking ke karan                 
                                  4. How to make mind free from Depression
SHARE

Priya Pathak

  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
    Blogger Comment
    Facebook Comment

1 comments: